Romantic Shayari...Janun ko zabt sikha loon (Dashing Poetry)

Friday, 19 July 2013

Janun ko zabt sikha loon to phir chaley Jana...

mein apna aap sanbhaa loon to phir Chaley jana....

usi tarah hai abhi tishnagi in aankhon Mein...

mein in ki piyas bujha loon to phir Chaley jana....

dil ko ye waham k tum laut ker na Aao ge..

ye waham dil se nikaaloon to phir Chaley jana...


bayaz-e-dil peh jo utri hai surat-e-ilham...

wo ghazal tum ko suna loon to phir Chaley jana...

nisaar hotey hain shama peh kesey Perwaney...

yeh jashan tum ko dikha loon to phir Chaley jana....

No comments:

Post a Comment

 

Most Reading

RJ AWAIS (OWNER)

RJ AWAIS (OWNER)
DASHING POETRY