sitaron se age jahan aur bhi hain
abhi ishq k imtihan aur bhi hain..
tahi zindagi se nahin ye fazayen
yahan saikaron karawan aur bhi hain..
kanat na kar alam-e-rang-o-bu par
chaman aur bhi,ashiyan aur bhi hain..
agar kho gaya ek nasheman to kya gam
maqamat-e-ah-o-fugan aur bhi hain..
tu shahin hai parwaz hai kam tera
tere samne asman aur bhi hain..
isi roz-o-shab mein ulajh kar na rah ja
k tere zamin-o-makan aur bhi hain..
gae din k tanha tha main anjuman mein
yahan ab mere razadan aur bhi hain..
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment